purichudai.blogspot.in

Saturday, November 08, 2014

kafan tere bete ka 7

" drill motoryukt machine me fix us suye jaisi vastu ko kehte hai jo kisi bhi deewar me chhed kar sakti hai, machine me jitne jyada vyaas ka drill fix kiya jaayega deewar me utne hi vyaas ka chhed ban sakta hai aur baazar me jyada se jyada 2 inch ka vyaas drill mil sakta hai, jabki hame kam se kam ek foot vyaas ke drill ki jaroorat hai. nadi ki deewar me hame chhed nahi karna hai balki poori ek surang banani hai "
" ye special drill bhala hum kaha se laayenge "
" kharaad machine par itne bade drill ban sakte hai, magar bante isliye nahi hai kyonki sadharantaya itne bade drills ki kabhi kisi ko jaroorat nahi padti. log drill machine ka istemaal deewar me chhed karne ke liye to karte hai lekin surang banane ke liye nahi "
" to kya hame ye special drill kisi kharaad par taiyaar karvaana hoga "
" yahi ekmatra raasta hai "
" m...magar isse to hum logo ki najro me aa sakte hai, sabse pehle to kharaad machine vaala hi poochega ki hum itne bade drill ka kya karenge. ajeeb baat hone ki vajah se vah iska jikr kisi aur se bhi kar sakta hai aur agar failti huyi baat police tak pahuch gayi to.... "
" sabse badi samasya yahi hai pyaare jiska hal hum sabko milkar sochna hai " Vijay ke is vaakya ke baad un paancho ke beech sannata chaa gaya, sabhi ek-dusre ka munh taakne lage jaise kisi ko kuch na soojha raha ho.
is waqt ve khandahar ke ek aise kamre me baithe the jiski chatt ka ek bada hissa na jaane kitne varsho pehle gir chuka tha. kamre ke andar baithe-baithe hi aakash ko dekha jaa sakta tha. is waqt unke beech ek bahut moti mombatti jal rahi thi.
aakash par taare timtima rahe the.
mombatti ke ird-gird baithe ve uprokt baatein kar rahe the. mombatti ki lo kaanp rahi thi aur uske saath ki kaanp raha tha unke chehre par maujood peela prakash. aur fir unke beech chhaaye is sannate ko bhadd ki ek jordaar aawaj ne tod daala.
ek saath sabhi chounkar ucchal pade.
kamre me koyi badi hi bhaari vastu giri thi aur jab is vastu par Aasha ki najar padi to na chahte huve bhi uske kanth se ek bhayankar cheekh ubal padi.
saara khandahar jaise is cheekh se jhanjhana utha.
shesh chaaro ke munh se cheekh to nahi nikli lekin Vijay sahit un sabke roye jaroor khade ho gaye the, dil dhak-dhak karke dhadakne lage the kyonki kamre me padi vah bhaari cheej kuch aur nahi balki ek laash thi.
Chemboor ki laash.
un sabhi ki drishti laash par aise chipak kar reh gayi, jaise kisi jaanvar ki laash par giddh ki drishti chipak jaati hai. sabhi ki aankho me khauf ki halki-halki si parchaaiya naach rahi thi.
Vikas ne chehra uthakar chhatt ke toote huve hisse ko ghoora, laash ushi ke maadhyam se neeche giraayi gayi thi. ekaek Vikas gurraya," koun ho tum, saamne aao "
" hi-hi-hi " vaatavaran me ek bhayanak hansi ki aawaj goonj uthi," is tarah gusse se kyo bulaate hai sahab, pyar se bulaaiye na, hum doude chale aayenge "
Vijay ne unchi aawaj me poocha," tum is waqt yaha kyo aaye ho "
" lijiye janaab, aap to is naacheej ko nimantran dekar bhool gaye, khair, hum yaad dila dete hai. jara apni-apni khoobsurat kalaiyo me bandhi wristwatches me samay dekh le, theek vahi samay hai jo mere aur aapke beech kal raat phone par fix hua tha. haan, milne ka sthaan jaroor badal gaya hai, lekin isme bhi meri nahi, aap hi ki galti hai janaab. mai pehle Peter house hi gaya tha, jab aap vaha nahi mile tab hi mai yaha aaya hu "
" tumhe jo bhi baat karni hai, saamne aakar karo " Vijay ne unchi aawaj me kaha.
" jo hukum, bandaparvar " inhi shabdo ke saath tooti huyi chhatt se ek insaani saaya dhamm se farsh par kood gaya.
ve sabhi chounk pade.
Vikas ne jeb se revolver nikal liya tha kintu usne fire nahi kiya, apne shesh saathiyo ki tarah vah bhi aagantuk ko sthir nigaaho se dekhne laga.
uske poorn jism par chust syaah libaas tha.
chehre par kaala nakaab.
nakaab ke andar se uski aankhen jhaank rahi thi magar prakash mombatti ka hone ke kaaran uski aankho ke rang ko nahi pehchaana jaa sakta tha.
vo sab abhi ushe dekh hi rahe the ki usne Vikas se kaha," ye tamancha jeb me rakh lijiye hujoor, maa kasam hame bahut dar lagta hai "
uski baat par dhyaan diye bina Vikas gurraya," koun ho tum "
" banda saamne hai fir koun ho ka to sawaal hi nahi uthta "
" jyada smart banne ki koshish mat karo " Vikas ki gurrahat kisi bhediye ki si gurrahat me badalti chali gayi," mai tumhaare nakaab ke peeche chhupe is chehre ki baat kar raha hu "
" oh, aapka matlab ye tha, magar gustaakhi maaf kare hujur-e-aala, ye raqeeb aisa nahi kar sakta, kyonki aisa hote hi aap mera ye sundar-salona mukhda dekh lenge "
uske is vaakya aur khaas tour se bolne ke andaaj se Vikas ko itna gussa aaya ki saare jism me ek ajeeb si sansani doudti chali gayi, jee chaha ki trigger dabakar ek aisi goli abhi uske chehre par maare ki uske chehre ke parkhachhe ud jaaye, magar aisa nahi kar saka Vikas, haan, kathor swar me kaha jaroor usne," mai tumhe abhi goli maar sakta hu "
" apna hi nuksaan karenge janaab "
" kya matlab "
" mere jism par maujood ye libaas aur ye nakaab bhi bullet-proof hai, yaani aapki goli mera kuch nahi bigaad sakegi lekin mujhe itna jaroor pata chal jayega ki aap mujhse dosti nahi dushmani chahte hai aur fir aapko meri dushmani ka swad chakhna padega "
" hamara kya kar loge tum "
" mera khayaal hai ki sarkaar mere yaha aagman se aap itna to samajh hi gaye honge ki aap log duniya ki najar se to chupp sakte hai, meri najro se nahi. aap jaha bhi jaayenge mujhe pata chal hi jaayega aur fir kisi bhi sthaan par aapko British police gher legi, mai unhe aisa saboot bhi de sakta hu jisse ve aapko antar-rashtriya adalat me Bhartiya jasoos saabit kar sake "
is baar Vijay bola," aur pyaare, yadi hum sab milkar tumhe ishi waqt yaha daboch le to "
" jo kaam mai karta, vahi mera saathi karega, usse mai kehkar aaya hu ki yadi mai teen ghante tak na pahuchu to vo na sirf saare saboot James bond ke havaale kar de, balki unhe ye soochna bhi de de ki aap log kaha hai "
" iska matlab ye hua pyaare ki tum poori tarah se taiyaar hokar aaye ho "
" taiyaar rehna padta hai hujoor, varna aap jaisi mahaan hastiya to mujhe aise chat kar jaaye jaise chote-chote bacche toffee chat kar jaate hai "
" revolver jeb me rakh lo pyaare diljale " Vijay ne ghoomkar Vikas se kaha," filhaal ye hamare kabje se baahar ki vastu bankar aaya hai "
na chahte huve bhi Vikas ne revolver jeb me rakh li.
" ab bolo pyaare, kya chahte ho tum "
" phone par bata chuka hu hajrat, fir dohraata hu, Kohinoor ki keemat ka ek percent "
" shaayad tum jaante ho ki hum Kohinoor ko bechenge nahi "
" fir bhi uski keemat ka andaaja lagakar aap mujhe ek percent de sakte hai "
" keemat kaise tay hogi "
" mai American sarkar se Kohinoor ka souda karunga, jo keemat vo aank denge, ushi ka ek percent aap mujhe de dijiyega "
" kaafi chaalu kism ke aadmi ho "
" kya kare hujoor, vyaapar me banna padta hai "
" khair, agar hum tumhaara offer sweekar kar le to "
bade hi aatamvishvaas se kaha usne," ye juranvaaji to hujoor ko karni hi padegi "
uske is jawaab par ek baar to Vijay jaisa aadmi bhi bhannakar reh gaya, ek pal tak vo bina kuch bole nakaab se jhaankti uski aankho ko dekhta raha, fir bola," kya tum hamare dwara souda sweekar kar lene ki kisi prakaar ki guarantee chahoge "
" sarkaar haan keh de, yahi sabse badi guarantee hai "
" kay matlab "
" isme matlab ki gunjaaish hi kaha reh gayi hai bandaparvar, aapne guarantee ki baat ki, maine keh diya ki aapki haan hi mere liye guarantee hai, aakhir vyaapar karta hu aur vyaapar me aadmi ki jubaan ka to aetbaar karna hi padta hai "
isme shak nahi ki uske uprokt shabdo ne Vijay jaise kaaiya vyakti ko bhi chakrakar rakh diya tha, apni kism ka ye pehla hi vyakti tha jo is roop me itne confidence ke saath baat kar raha tha varna is kism ke blackmailer aksar hi kisi kism ki guarnatee chahte hai ki jisse samay aane par party apne vaade se na mukre.
kuch bhi sahi lekin is vyakti ke aatamvishvaas ne Vijay ko prabhaavit kiya tha, vo bola," kya tum hamari pol na kholne ke badle me hi ek percent maang rahe ho "
" aur aap kya chahte hai "
" kya is abhiyaan me hamare saath nahi rahoge, matlab ki hamari madad nahi karoge "
" saath rehna aur madad karna do alag-alag cheejein hai, spasht baat hai ki mai aake saath nahi rahunga, haan jo ho sakegi, vo madad mai kar dunga "
" kis kism ki madad kar sakte ho "
" aapko kis kism ki madad chahiye, keh kar dekhiye, yadi mai kar sakunga to jaroor karunga, yadi baat mere vash ke baahar hogi to mai spasht inkaar kar dunga "
" kya tum ek drill ka intjaam kar sakte ho "
" aapko ek foot vyas ki drill chahiye na "
ek baar fir Vijay ushe dekhte hi reh gaya, uska ye vaakya saboot tha ki ushe unki yojna ke baare me poori jaankaari hai, magar chehre par koyi spasht bhaav paida na karke bola," haan "
" mai drill ka intzaam kar dunga "
" very good, to samjho ki tumhaara ek percent pakka "
" thankyou very much " iske saath hi vah apne pet par haath lagakar is tarah jhuka jaise kisi raja se uphaar milne par koyi mulajim jhukta hai.
Vijay ne Chemboor ki laash ki taraf ishaara karke poocha," magar tum ishe saath liye kyo ghoom rahe ho "
" souda na hone tak iska mere paas hona jaroori tha, ab ye aapke havaale hai, ishe aapne maara hai, atah agar iski laash ko bhi aap hi thikaane lagaye to iski aatma prasann ho uthegi "

No comments:

Post a Comment