purichudai.blogspot.in

Saturday, November 08, 2014

kafan tere bete ka 5

" Peter house se kya baramad hua sir "
" 003 ke alawa kuch bhi nahi, haan aise chinh avashya mile hain ki kuch log vaha rehte the, parantu ve log koun the ye baat kisi bhi tarah se saabit nahi ki jaa sakti "
" kya vaha se Chemboor ki laash bhi nahi mili "
" nahi "
ajeeb si jhunjhulahat me Bond ne apne daaye haath ka ghoonsa baaye haath par maara aur daant bheenchkar bhunbhunaata sa bola," m..maine kaha tha na sir ki ve log bahut kaaiya hai, haalaat par hamari majboot pakad dekhte hi dekhte khatam ho gayi, ab hame nahi pata ki ve kaha hai, Aasha ke roop me hamare paas vajeer tha, ab vah bhi nahi raha, hum kuch bhi nahi kar sake "
" m..magar Bond, itni jaldi, yah sab kaise ho gaya, ve log 003 ke flat par kyo nahi pahuche, unhe kaise pata chala ki Aasha tumhaari kothi me hai "
" in sawaalo ke jawaab to keval 003 hi de sakti hai, bechaari, is saare jhamele me fanskar vah apni naak hi ganva baithi, kaash, hum uski information milte hi unhe giraftaar kar lete "
mr. M abhi kuch kehne hi jaa rahe the ki intercom bhinbhina utha, unhone receiver uthaaya, kuch der dusri taraf se bolne vaale ki aawaj sunte rahe aur fir ye kehkar receiver rakh diya ki hum aa rahe hai.
ve apni kursi se uthte huve bole," 003 hosh me aa gayi hai Bond "
bina kuch kahe bina Bond bhi teji se uth khada hua.
5 minute baad ve ek aise kamre me the, jahan ek unche bed par 003 leti thi, sameep hi gale me stethescope vaala doctor khada tha, 003 ki naak par patti bandhi huyi thi, Bond ne usse kaha," report do 003, vaha kya hua tha "
" Vikas mujhse Aasha ka pata pooch raha tha, usne blade se meri naak kaat daali, parantu maine ushe kuch nahi bataya, naak kat te hi mai behosh ho gayi thi "
" k..kya maatlab " Bond ne chounkar poocha," kya naak katne ke baad tumne transmitter par mujhse baat nahi ki thi "
" no sir "
003 ke is jawaab ne dono ko aawaak kar diya, kayi pal tak ve hairatangej drishti se ek-dusre ko dekhte reh gaye aur fir Bond ki aankho me achanak hi aisi chamak ubhar aayi jaise vah sabkuch samajh gaya ho.
jabki mr. M chakit swar me budbudaaye," yeh sab kya chakkar hai Bond, 003 kehti hai ki naak kat te hi vah behosh ho gayi thi jabki transmitter par... "
" ab saara chakkar meri samajh me aa raha hai sir "
" kaisa chakkar "
" jab naak katne ke baad bhi isne Aasha ka pata nahi bataaya aur behosh ho gayi to Vijay samajh gaya ki 003 torture se tootne vaali nahi hai aur tab transmitter par iski aawaaj me Vijay ne baatein karke mujhse maalum kar liya ki Aasha meri kothi me hai "
" oh, 003 ki aawaaj ki itni perfect nakal "
" uska naam Vijay hai sir, vah meri aur aapki aawaj ki nakal bhi itne hi perfect tareeke se kar sakta hai. baharhaal ab haalaat bilkul badal chuke hai, saari gintiya mujhe ek baar fir zero se ginni padegi, aap Gardner ke yaha ek naukar ki jaroorat paida kijiye "

---------------------------------

agle din, dopahar ko prakaashit hone vaala akhbaar padhne ke baad Ashraf ne ek taraf ucchala aur bola," had ho gayi, police ne poora Peter house chaan maara parantu Chemboor ki laash nahi mili "
" milni bhi nahi thi pyaare " Vijay ne kaha.
Vikram ne poocha," kyo "
" Kohinoor me se ek percent hissa chahne vaala hamara saathi vafadaar hai "
uska jikr aate hi ekaek jaise sabko saanp soongh gaya. yah rahasymay vyakti unke liye aatank ka ek ajeeb sa kaaran ban gaya tha, Vikas bola," pata nahi koun hai vah "
" waqt aane par ushe bhi bhugat lenge pyaare " Vijay ne kaha," filhaal jitni badi samasya hamare liye vah hai, utni hi badi Lumad, Bond aur Britain ki police aadi ban gayi hai "
" vah kaise " Vikram ne poocha.
" haalaat bahut badal gaye hai pyaare Vikramaditya, ab unke liye sawaal ye nahi raha hai ki hum koun hai aur kis chakkar me hai, ab unki koshish sirf ushe saabit karke dikhaane ki hogi jo vo jaante hai, atah hame ek-ek kadam phoonk-phoonkar rakhna hai, udhar Bond ko hamare aur Lumad ke beech hone vaali baato ka bhi pata lag gayi hai, sambhav hai ki Lumad ke prati bhi vah satark ho gaya ho "
" isse hum par kya fark pad sakta hai "
" bahut fark padta hai pyaare "
" mai samjha nahi guru "
" yadi Bond Lumad ke prati satark ho jaata hai to ab vah nischay hi kisi na kisi maadhyam se Lumad ki gatividhiyo par najar rakhega, Lumad ka abhiyaan Kohinoor tak pahuchna hai, uske raaste me Kohinoor ke chaaro taraf ki gayi suraksha vyavastha to thi hi, is stithi me Bond bhi uske liye ek bada gatirodh banega. Kohinoor ki chori me Alfaanse ke safal hone ki sambhaavna ksheen pad jaayegi aur jab uski safalta hi sandehjanak rahegi to hamare safal hone ka to sawaal hi paida nahi hota " baat sabke samajh me aa gayi isliye vaha sannata chaa gaya.
is waqt ve London shahar se kareeb dus kilometer door jungle me stithit khandahar me maujood the, ye khandahar kisi jamaane me shikaargaah raha hoga, apni aapraadhik gatividhiyo ko jaari rakhne ke liye is khandahar aur Peter house ki khoj unhone London me aate hi kar li thi.
pehle unhone Peter house ko chuna tha, kintu ab yaani Peter house ka bhed khulne ke baad unhone apna padaav is khandahar me daala tha.
Aasha ko saath liye Vijay, Vikas Bond ki car samet raat ke samay hi Bond ki kothi se seedhe yaha pahuche the, udhar Peter house se yaha pahuche the Ashraf aur Vikram.
Aasha hosh me aa chuki thi, ye jaankar ushe kaafi santosh mila tha ko ab vo apne saathiyo ke beech me thi. Bond dwara kiye gaye torture ki vajah se vo abhi tak nirbal aur jakhmi thi.
is waqt vah khandahar ke ek bheetari kamre me aaraam kar rahi thi.
ve sab ek baramde me baithe uprokt baatein kar rahe the.
sannata kaafi der tak unke beech kundli maare baitha raha, ekaek Vikas bola," agar aapki ijaajat ho guru to ek raay pesh karu "
" ijjajat hai " Vijay ne is tarah kaha jaise kisi baadshah ne apne mulajim ko hukum sunaaya ho.
" ye baat theek hai ki hamari safalta-asafalta crimer uncle ki safalta-asafalta par nirbhar hai parantu fir bhi hame is baare me sochkar hame apna samay barbaad nahi karna chahiye. mai samajhta hu ki crimer uncle ke marg me bhale hi chahe kitne bhi gatirodh utpann ho parantu antatah vah apne maksad me kaamyaab ho hi jaayenge aur hamara maksad unke kaamyaab ho jaane par Kohinoor unse chheen lena hai. atah hame apni yojna ko kaaryanvit kar dena chahiye, kahi aisa na ho ki hum pichad jaaye "
Vijay bola," yeh baat tumne ek laakh take ki kahi hai pyaare "

-------------------------------------

Alfaanse Gardner ke bedroom ke sameep thithka.
bahut hi dhyaan se usne gallery ka nirikshan kiya, dono taraf poori tarah sannata vyapt tha. din ka kareeb ek baja tha aur mr. Gardner kothi se baahar gaye huve the.
bedroom ka darvaaja locked tha.
Alfaanse ne furti ke saath apni jeb se ek chaabi nikaali aur darvaaje ke key-hole me daal di. chaabi ke ghoomte hi click ki hulki si aawaj ke saath lock is tarah khul gaya maano chaabi ishi lock ki ho.
lock khulne ke baad ek kshan bhi ganvaaye bina Alfaanse key-hole se chaabi nikaalkar kamre ke andar sama gaya aur darvaaja usne ishi chaabi ka istemaal karke andar se lock kar liya.
ab vah Gardner ke bedroom me tha.
Alfaanse ne ek najar saare kamre me doudaayi aur ant me aankhe us choti si, kintu behad majboot safe par thithak gayi jo double bed ke daayi taraf, sirhaane farsh ke saath attached thi.
kayi kshan tak Alfaanse safe ko vishesh drishti se ghoorta raha.
fir ekaek hi is tarah chounka jaise kuch yaad aaya ho, vah dabe paanv theek us deewar ki taraf badha jo safe ke saamne thi, is deewar me ek almaari bani huyi thi, almaari ki chhat par vibhinn kism ke kayi khilone rakhe huve the.
Alfaanse ek stool par chadh gaya.
almaari par rakhe khilono me se usne ek gainda utha liya, rubber ka bana hua yah kaafi bada aur akarshak gainda tha. gainde ke mastak par bani aankh ne ushe ajeeb si vichitrata pradaan kar di thi.
gainde ke prashth bhaag yaani pet vaale hisse me ek chain thi.
Alfaanse ne chain kholi aur fir gainde ke andar se ek camera nikala, yah ek chota sa, magar shaktishaali camera tha. ek choti si ghadi bhi camera ke saath fix thi.
camera ke saath fix ghadi me 7 baj rahe the.
Alfaanse ne shutter kholkar camere ke andar se ek film nikaali, jeb se ek khaali case nikaalkar film usme daali tatha ek nayi film jeb se nikaalkar camera ke andar fix kar di aur fir shutter band karne ke baad usne attached ghadi me 9 baja diye.
itna kaam karne ke baad camera gainde ke andar rakha, chain band ki aur almaari ke upar anya khilono ke beech ushi position me rakh diya jisme uske chhedne se pehle tha.
gainda apne maathe par maujood aankh se safe ko ghoor raha tha.
santusht hone ke baad Alfaanse stool se utra, dabe paanv kamre ke darvaaje ki taraf badha aur jeb se chaabi nikalkar ushe abhi key-hole me daalne hi vaala tha ki thithak gaya.
kamre ke baahar ki gallery se kinhi vyaktiyo ke kadmo ki aawajein ubhri thi.
deewar se stakar Alfaanse ne apni saanse tak rok li thi, vah us waqt tak us position me raha jab tak ki band darvaaje ke saamne se gujarkar kadmo ki aawajein gum na ho gayi.
usne roki huyi saanse chhodi.
key-hole se aankh satakar gallery me jhaanka, uske kaan cheenti ke chalne se paida hone vaali aawaj ko sunne tak taiyaar the. poori tarah se aashvasht hone ke baad hi usne lock khola, gallery me aaya aur baahar ki taraf ka lock punah band kar diya.
andar se lock kholne aur baahar se lock band karne me usne mushkil se teen minute ka samay ganvaaya tha, chaabi ko jeb me daalkar vah masti ke saath seeti bajata hua gallery paar karne laga.
us waqt vah ek hall me pahucha tha jab ek naukar se uska aamna-saamna hua, naukar ne ushe dekhte hi sammanit swar me poocha," kuch pesh karu sahab "
" Irvi kaha hai "
" apne kamre me hai sahab, kahi baahar jaane ki taiyaari kar rahi hai "
" mai udhar hi jaa raha hu, ek cup coffee taiyaar karke le aao " kehne ke baad usne naukar ka jawaab sunne ki koyi cheshta nahi ki aur tej kadmo ke saath hall paar karke apne kamre ki taraf badh gaya, kamre me pravisht hote huve Alfaanse ne poocha," kaha jaane ki taiyaari hai Irvi "
" shopping karne, tum bhi chalo na " dressing table ke saamne baithi Irvin ne kaha.
" sorry Irvi " Alfaanse bed par laghbhag girta hua bola," meri tabiyat theek nahi hai, thodi der aaraam karunga "
" k..kyo, kya hua " brush haath me liye vah uske najdeek aa gayi.
" vishesh kuch nahi, bas sir me hulka sa dard hai "
" to leto, mai sir daba deti hu 
"

No comments:

Post a Comment