purichudai.blogspot.in

Saturday, November 08, 2014

kafan tere bete ka 6

" oh no Irvi, bahut halka sa dard hai, tum kyo disturb hoti ho, maine coffee ke liye keh diya hai, peekar kuch der ke liye aankhe band karunga to theek ho 

jaayega, tum jaao "
" sach keh rahe ho na "
" bilkul sach, accha ye batao, mere liye kya laaogi "
" jo tum kaho "
bas, kuch der unke beech me ishi kism ki baatein hoti rahi, naukar Alfaanse ko coffee de gaya, kuch hi der baad Irvin taiyaar hokar shopping ke liye chali 

gayi.
bistar par adhleti avastha me pade Alfaanse ne aaraam se coffee khatam ki. fir teji se utha aur kamre ka darvaaja andar se band kar liya.
na keval darvaaja balki saare roshandaan aur khidkiya bhi usne anadar se band kar liye the, kamre me andhera chaa gaya tha.
Alfaanse ne furti se film dekhne vaala ek parda stand par khada kiya, uske saamne fix kiya us projector ko, jiske jariye film dekhi jaati thi. apni jeb se gainde 

ke andar se nikaali gayi film nikaalkar projector me fix ki aur usne button dabakar projector on kar diya.
parde par ek silent rangeen film chal rahi thi.
stand par fix parde par bedroom ka drishya bilkul spasht najar aa raha tha, vishesh roop se double bed aur uske sirhaane rakhi huyi safe.
projector ki charkhi dheere-dheere ghoom rahi thi, saath hi ghoom rahi thi us par chadhi huyi reel, kintu parde par maujood drishya me koyi parivartan nahi 

aa raha tha.
thodi der baad parde par mr. Gardner najar aaye.
aankho me jaane kya aasha liye Alfaanse unhe dhyaan se dekhne laga, parde par ve kapde utaarte najar aa rahe the, fir ve screen se baahar nikal gaye, jab 

punah screen par aaye to unke jism par night suit tha.
dekhte hi dekhte ve bed par late gaye.
aur aage ki saari film me mr. Gardner soye huve hi the, reel khatam ho gayi. Alfaanse ke chehre par jaane kyo niraasha ke bhaav ubhar aaye, vo bechaara nahi 

dekh saka tha ki parde par chalne vaali is film ko darvaaje ke key-hole se sati ek rahsyamay aankh ne bhi dekha hai.

---------------------------------

club ka naam tha Gotakhor club.
haalanki is club me ve sabhi kaam hote the jo kisi bhi club ke kaaryakram me hote hai. parantu gitakhori club ka ek vishesh aur aisa manoranjan tha jo 

London ke kisi anya club me nahi tha. atah is club ke sadasya aksar vahi log bana karte the jo gotakhori me vishesh dilchaspi rakhte ho.
club ke paas gotakhori ki anek poshake tatha oxygen ke cylinders the. club ke jis bhi sadasya ka jab jee chahe gotakhori ki poshak pehne, peeth par cylinder 

laade aur Tames nadi me chalaang laga de.
jab tak jee chahe Tames ki gehraaiyo me kisi jaljeev ki tarah athkheliya karta rahe.
saaptaahik chande ke alawa sadasyo se gotakhori ka koyi pound nahi liya jaata tha. haan, un logo se se gotakhori ki keemat li jaati thi jo club ke member 

nahi hote the.
yaani ki club ki taraf se baahari vyaktiyo ke liye bhi gotakhori ka prabandh tha. parantu unse prati ghante ke hisaab se poshak aur cylinder ka kiraaya liya 

jaata tha.
yeh club ki aay ka ek accha saadhan tha, kyonki pratidin bahut se baahari vyakti club se poshak aur cylinder lekar gotakhori kiya karte the.
prati sandhya ki tarah aaj bhi club ke baahar poshak tatha cylinder prapt karne ke liye baahari vyaktiyo ki line lagi huyi thi aur ishi line me 9ve number par 

Vijay khada tha.
is waqt Vijay ke Basheer vaale chehre ke upar makeup ki ek aur parat thi.
is samay vah gore rang, neeli aankho tatha sunahre baalo vaala britisher najar aa raha tha, thodi par french cut daadhi thi aur naak kuch choudi si najar aa 

rahi thi.
number aane par register me usne apna naam Lords likha.
15 minute baad usne laal rang ki gotakhori ki poshak pehan rakhi thi, peeth par oxygen cylinder tha aur mastak par bahut hi choude frame vaala gotakhori 

ka chashma.
Tames ke kinaare par pahuchkar usne ek najar dhyaan se kinaare se kaafi door hatkar parantu Tames ke samanantar panktibadh si khadi un dher saari 

imarato ko dekha, uski najar ek paanch manjili imarat par thithak gayi.
is imarat ke mastak par lage board par likha tha-- bank sansthaan.
aankho se hi vijay ne Imarat se lekar Tames tak ek saral rekha kheenchi, gotakhori ke chashme ko aankho par fit kiya aur Tames ke swachh jal me chalaang 

laga di.
ab vah paani ke andar tair raha tha.
uske alawa paani ke andar kayi aur gotakhor athkheliya kar rahe the, parantu kisi ki bhi taraf dhyaan diye bina Vijay kisi sansanaate huve teer ke samaan 

Tames ke tal ki taraf utarta chala gaya.
nadi ke tal me jagah-jagah chikne aur bade-bade patthar pade huve the.
Vijay ne kaskar ek patthar ko pakad liya aur khud ko bahaav ke saath behne se roka, is stithi me khud ko sthir karke usne chaaro taraf dhyaan se dekha.
tej bahaav ke baavjood tal par pade bhaari-bhaari patthar tas se mas nahi ho rahe the, itni gehraayi me aaspaas ushe koyi anya gotakhor bhi najar nahi aa 

raha tha.
vah aashvasht sa hua.
darasal itni gehraayi me koyi saadharan gotakhor utar bhi nahi sakta tha. ve log jo gotakhori sirf manoranjan ke liye karte the, nadi ke tal tak pahuchne ka 

khatarnaak kaam kyo karte.
bahaav me fanskar ve kisi bhi patthar se takra sakte the. aisi avastha me kisi ke bhi jakhmi ho jaane, gotakhori ki poshak fat jaane, chashma toot jaane ya 

oxygen cylinder ke hi foot jaane ka khatra rehta tha isliye saadhaaran gotakhor tal tak pahuchne ka khatra nahi uthaate the.
acchi tarah se aaspaas ka nirikshan karne ke baad Vijay ne vo patthar chhod diya aur ab vah khud ko tal ke samanantar rakhkar kinaare ki deewar ki taraf 

tairne laga.
vah swayam ko Tames ke tal se ek gaj upar rakhe huve tha.
kisi machhli ke samaan tairta huva vah sheeghra hi Tames ki ek deewaar ke sameep pahuch gaya aur fir deewar ke sahare-sahare, tal se ek gaj upar rehkar 

vah bahaav ke viruddh tairta raha.
beech-beech me vah apni waterproof wristwatch me samay bhi dekhta jaa raha tha.
lambe samay tak bahaav ke viruddh lagataar tairte rehne ke kaaran Vijay kaafi thak gaya tha, saans phool gayi thi isliye sameep hi pade ek patthar ka 

sahara lekar khada ho gaya.
paanch minute usne apni ukhdi huyi saans ko niyantrit karne me kharch kiya.
fir patthar ki back se nikalkar tairta huva deewar ke sameep pahucha tatha deewar ko ajeeb dhang se thokne-peetne laga.
kabhi vah deewar ko thokar maarta to kabhi ghoonsa.
andaaj kuch aisa tha jaise dekh raha ho ki deewar kitni majboot hai.
kam se kam ek ghante tak deewar ke sahare-sahare tairat huva apni majbooti ko parakhta raha aur fir usne phosphorus se deewar me ek jagah cross ka 

nishaan laga diya.
phosphorus se bana cross door se hi saaf chamak raha tha.
cross ka yah nishaan usne deewar par jaha lagaaya tha, vah sthaan nadi ke tal se keval do feet upar tha aur itna kaam karne ke baad Vijay kuch is tarah 

paani ko cheerta huva satah ki taraf badha jaise cross ka ye nishaan lagaane hi vah yaha aaya tha.
sheeghra hi vah Tames ki satah par najar aaya aur fir nadi se baahar nikalne ke liye kinaare ki taraf tairne laga. kinaare tak pahuchte-pahuchte usne ek aise 

vyakti ko gotakhori ki poshak pehne Tames me koodte dekha, jishe dekhte hi uske jism me jhurjhuri si doud gayi.
Tames me koodne vaala vah vyakti James bond tha.

----------------------------

" iska matlab ye hua guru ki aap nishaan laga aaye ho "
" beshak "
" magar kya jaroori hai ki ye nishaan bank sansthaan ke theek seedh me hi ho"
" jis hisaab se humne naap-tolkar nishaan lagaaya hai us hissab se to bilkul seedh me hi hona chahiye "
Vikram bola," yadi nishaan bilkul accurate jagah nahi hoga to accurate ke aaspaas jaroor kahi hoga, ab hame apni isse aage ki kaaryavaahi par vichaar karne 

chahiye "
Ashraf ne samarthan kiya," Vikram theek keh raha hai "
" aage ki kaaryavaahi par vichaar karne se pehle hame ek aur baat par vichaar karna hoga "
" vah kya " Aasha ne poocha.
" gotakhori ka shouk apne Bond pyaare ko bhi hai "
sabhi ek saath chounk pade," k..kya "
" ji haan, jab hum Tames se baahar aa rahe the to humne apne in mrignayno se dekha ki gotakhori ki poshak pehne James bond ne Tames me jump lagaayi hai, 

baad me apne tareeke se humne maalum kiya to pata laga ki Bond club ka sadasya hai aur hafte me teen din gotakhori jaroor karta hai "
" bantadhaar " Vikram badbadaaya.
Ashraf bola," kambakkht ye aadmi hai ya jinn, jaha dekho pahuch jaata hai "
laghbhag sabhi ke chehro par samaan chinh ubhar aaye the. aankho me vahshat ke halke se bhaav bhi the, fir bhi khud ko kaafi had tak sambhaalkar Vikas 

ne kaha," magar is baat se hame itna aatankit hone ki jaroorat nahi hai, jis tarah dusre log gotakhori karte hai, vah bhi karta rahe "
" kya tum uski tulna saadharan logo se karte ho "
" aisa nahi hai guru, magar... "
" magar kya "
" kya ushe khwaab chamkega ki hum Tames ke andar koyi surang bana rahe hai "
Aasha boli," Vikas theek keh raha hai Vijay, nadi ke andar se surang banaaye jaane ki kalpana to koyi virla bhi nahi kar sakta, swayam humne nahi ki thi. 

jab tumne nadi me se surang banane ki ghoshna ki thi to humme se koyi us par yakeen nahi kar paaya tha. hum sabhi samjhe the ki tum hamesha ki tarah 

koyi atpata sa mazaak kar rahe ho. parantu jab tumne yakeen dilaaya ki tum hamesha ki tarah serious ho to hum sabko laga ki nischay hi tumhaare dimaag 

ka koyi pench dheela ho gaya hai, itne tej bahaav vaali nadi me se surang banaye jaane ki kalpana bhala koun kar sakta hai "
" mai to abhi tak vishvaas nahi kar paa raha hu ki ye surang ban paayegi " Vikram bola.
" charcha surang ki nahi pyaaro, Bond ki chal rahi thi, apne diljale ne kaha tha ki Bond ko khwaab nahi chamkega, beshak ye baat sach hai. vah hargij 

kalpana nahi kar sakega ki hum Tames ke andar se surang bana rahe hai. meri baat par gour farmaaiyega, aisa vah keval tab tak nahi soch paayega jab tak ki 

ushe koyi aadhaar nahi mil jaata "
" matlab "
" aadhaar milte hi vah saara maajra samajh sakta hai aur koyi bahut chota sa point bhi uske liye aadhaar ka kaam kar jaayega, Bond unme se hai jo band 

lifafa dekhkar uske bheetar ka majmoon yu ka yu bata sakta hai "
" yaani "
" Tames ke aaspaas ya nadi ke andar usne hame dekh liya to nischay hi pehchaan jaayega aur yadi usne humme se kisi ko bhi pehchaan liya to fir duniya ki 

koyi taakat ushe ye pata lagaane se nahi rok sakegi ki hum vaha kya kar rahe the "
" yaani ki saara kaam hame poori satarkta ke saath karna hoga "
" hum mahaj yahi kehna chahte hai "
" theek hai guru " Vikas ne sabka pratinidhitv karte huve kaha," saari kaaryavaahi ke douraan hum sab jaroorat se jyada satark rahenge "
" nisandeh "
" jaha tum nishaan lagakar aaye ho, vaha deewar kaisi hai "
" mittidaar, beech-beech me se patthar bhi nikalne chahiye "
" to fir drill machine ka prabandh kiya jaaye "
" hamari sabse adhik aur mahttvpoorn jaroorat drill machine hi hai, uske bina nadi ke andar se surang banane ka shriganesh nahi ho sakta "
" drill machine, machino ki kisi bhi dukaan se khareedi jaa sakti hai "
" dukano par milne vaali machine to kaam kar jaayegi, parantu uska drill hamare liye kisi kaam ka nahi hoga, hame kharaad machine par taiyaar kiya gaya 

special drill chahiye "
" kya matlab " Aasha ne poocha.

No comments:

Post a Comment