purichudai.blogspot.in

Saturday, November 08, 2014

kafan tere bete ka 1

Summary of ALFAANSE KI SHAADI

Alfaanse ke shabdo me duniya ek jungle hai. insaani jaanvaro se khachakhach bhara ek jungle aur is jungle ke baadshah yaani sher ka naam hai Alfaanse. jaanne vaale ye bhi acchi taarh se jaante hai ki is antarrashtriya mujrim ke pair me chakkar hai, yaani ki ek mulk se dusre mulk ghoomte rehna iski hobby hai aur apni is hobby me mutaabik Alfaanse is baar London pahuch gaya.
sanyog se us waqt London me Bogaan naamak gunde ka danka baj raha tha, is had tak ki London ki police Bogaan par to door, uske kisi chamche tak par haath daalne se katraati thi.
parantu kisi ne sach hi kaha hai ki jhooth ki haandi roz nahi chadhti, Bogaan ke liye vah din durdin hi kaha jaayega jab uske teen gurge uski khidmat ke liye Irvin naam ki ek yuva aur soundarya ka pratibimb si najar aane vaali ladki ko kidnap karke le jaa rahe the. Bogaan ke bhaagya ko shaayad raahu-ketu ne tedhi aankh se dekha tha, tabhi to ve gurge bechaare Alfaanse se takra gaye.
Alfaanse ne na keval Irvin ko unke changul se mukt kiya, balki Bogaan ke gurgo ki kaaya ka bhugoal bhi badal daala. is ghatna ki Bogaan par kya partikriya huyi, yah to hum baad me likhenge, yaha ek baat bataana param aavashyak hai ki Irvin naam ki ye ladki Alfaanse ki khoobsurti aur bahaduri se aasakt ho gayi. kam se kam Alfaanse ke liye ye koyi vishesh baat nahi thi, Irvin se pehle bhi us par bahut si ladkiya aasakt ho chuki thi, parantu us par kabhi koyi asar nahi hota tha. kyonki sarvikhyaat hai ki Alfaanse ladkiyo me koyi ruchi nahi rakha karta tha. maanavta ke naate hi vo Irvin ko apni car me bithakar uske ghar tak chhodne aaya tha, parantu us waqt Alfaanse ki aankhe heere ki taarh chamakne lagi jab ushe pata laga ki Irvin Gardner ki akeli putri hai. Gardner ka parichay keval itna hi tha ki ve security vibhaag ke koyi bahut bade officer hai. jaane kya baat thi ki ushi kshan aisa mehsoos hone laga ki Alfaanse bhi Irvin se mohabbat karne laga hai, pyar ki peenge badhne lagi, Alfaanse aur Irvin ke beech mulakaato ka silsila lamba hota chala gaya aur in mulakaato me yah mohabbat parvaan chadhne lagi, ishi beech Alfaanse ka takraav Bogaan se bhi hua.
nateeje ka anumaan to aap log laga hi sakte hai yaani ki London se Bogaan ka aatank khatam.
uprokt ghatnaao ke teen mahine baad Singhi, Vatan, Vikas aadi ko card mile. in cards ke mutaabik Alfaanse Irvin se shaadi kar raha tha, shaadi ke cards ke saath Alfaanse ne patra dwara sambandhit vyaktiyo ko soochit kiya tha ki apne apraadhi jeevan se ab vah uab chuka hai aur Irvin ke saath ghar basakar shesh jeevan shaanti ke saath gujaarna chahta hai. yah anurodh bhi kiya tha ki shaadi me karyakram anusaar upasthit hone ka upkram kare.
Rajnagar me Alfaanse ne sabhi ko card bheje the lekin Vijay ke naam ka koyi card nahi tha aur Alfaanse ki yah harkat jaha Vikas, Raina, Raghunaath, Monto, Black boy, Ashraf, Vikram, Naahar aur Parvej aadi ko apmaanjanak lagi, vahi Vijay ye sochne par baadhya ho gaya ki aakhir Alfaanse ne ushi ko card kyo nahi bheja hai.
vaise to yah soochna hi ushe chouka dene ke liye kaafi thi ki Alfaanse shaadi kar raha hai. upar se uske naam ka card na hone ne bhi ushe chounka diya tha aur is shaadi ke parti Vijay sandighd ho utha. Alfaanse ki nas-nas se vaakif Vijay ko laga ki yah shaadi nahi, koyi shadyantra hai aur vah shadyantra kya hai, yahi jaanne ke liye Vijay turant James ellen bankar London pahuch gaya.
ab shuru huyi Alfaanse ki shaadi ke peeche chupe rahasya tak pahuchne ke liye Vijay ki investigation. alfaanse Eligabeth hotel ke room no. 71 me thahra hua tha. James ellen bana Vijay bhi ishi hotel me jaa thahra. sabse pehle usne ek waitor se Alfaanse ki picchle dino ki gatividhiyo ki jaankaari ekatrit ki. Alfaanse ka Bogaan se takraav, Irvin se huyi mohabbat ke baare me jaanne ke alawa usne yah bhi jaan liya ki Alfaanse ne British naagrikta prapt kar li hai.
ab vah ek gunde ke roop me pehle Bogaan ke gurgo aur fir unke maadhyam se Bogaan tak pahucha. parantu apne asli maksad me kaamyaab na ho saka. Basant swaami bankar vah toh lene ke liye James bond se bhi mila kintu parinaam vahi raha yaani dhaak ke teen paat.
atah shaadi hone se vah nahi rok saka.
shaadi nischit taarikh me huyi aur agar sach kaha jaaye to ye shaadi nahi poora ho-hulaad tha. kyonki saari duniya ke mashoor jasoos aur apraadhi isme shaamil huve the, aise-aise log, jinhe maanav nahi, bhoot-pret, chudail aur pisaach kehna jyada uchit hai.
Alfaanse ke mehmaano me pramukh the Singhi, Jackson, Tumbaktu, Jacky, Thakur sahab, Raghunaath, Raina, Mike, Harry, Julia, Baagarof, Nusrat-Tughlak, Rehmaan, Vatan, Appolo, Vikas, Dhanushtankaar, Vijay, Black boy, Ashraf, Vikram, Naahar, Parvej aur Aasha aadi.
in sabne milkar Lonodn me aisa humgaama machaaya jishe London vaasi hamesha yaad rakhenge. Singhi, Jackson aur Tumaktu apne naayab tareeko se shaadi me shaamil huve. Singhi ke aagman se poorv us waqt sabhi lights gul ho gayi thi, jab Vijay ne kinhi do vyaktiyo ki baatcheet suni aur is baatcheet me Kohinoor heere ka naam aaya.
sheeghra hi Vijay ne yah pata laga liya ki vah vaarta Graadway naamak ek vyakti aur Irvin ke pita Gardner ke madhya huyi thi. iske baad sansani raat ke teen baje faili, tab jabki fere khatam huve the. Gardner ki kothi ke ek andhere kone me Graadway ki laash padi mili. sabhi chounk pade, kaafi koshish ke baad bhi koyi yah nahi jaan saka ki Graadway ka katl kisne kiski madad se kiya hai.
shaadi ke baad sabhi mehmaan lout gaye.
Bhaarat me aakar Vijay ne Vikas aur Black boy ko bataya ki Graadway ka katl darasal ushi ne kiya hai,
ek saath dono ne chounkkar poocha," kyo "
tab Vijay ne bataya ki Graadway ko maarne se pehle usne ushe torture kiya tha aur us torture ke kaaran hi usne ushe bataya tha ki Kohinoor kyonki duniya ka sabse mulyavaan, naayaab aur gauravmayi heera hai, isliye Britain sarkaar ne uski suraksha ke kade prabandh kiye hai. ye saare prabandh K.S.S. naamak sanstha ki dekhrekh me hai aur K.S.S. ka director khud Irvin ka pita Gardner hai. Graadway khud bhi K.S.S. ka sadasya tha aur ishi vajah se vah Vijay ko bata saka tha ki prithvi ke chaaro taraf ghoomta ek upgrah Kohinoor par najar rakhta hai. is upgrah ka sambandh ek control room se hai, yaani yadi Kohinoor ko koyi khatra hua to upgrah turant control room ko sandesh bhej dega aur yah control room anya kahi nahi, Gardner ki kothi ke tahkhaane me hai.
itna sabkuch pata lag jaane ke baad Vijay ke liye yah samajh paana saamaya si baat thi ki Irvin se shaadi ka dhong rachakar Alfaanse Kohinoor tak pahuchne ki scheme par kaam kar raha hai. yah sambahvna Vikas aur Black boy ko bhi janchi.
ab ye log Alfaanse ki yojna ko naakaam karne aur Kohinoor ko haasil karne ke baare me sochne lage. plan ye bana ki Alfaanse jaise hi Kohinoor ko prapt karega, ye ushe daboch lenge. magar aisa karne ke liye, Kohinoor tak pahuchne ki Alfaanse ki sampoorn yojna jaanna jaroori tha aur jaanne ke liye London jaana.
apni asli surat aur naam se ve London jaa nahi sakte the. Alfaanse, Bond ya London ki nazro me ve kabhi bhi aa sakte the. atah Vijay, Vikas, Ashraf, Aasha aur Vikram kramash Basheer, Margret, Dsouja, Chakram aur Beauty naamo se london pahuche. Vijay ne khud sabhi ke chehro par aisa makeup kiya tha jo kisi bhi rasayan se chootna na tha.
London me in paancho jasooso ki stithi mujrimo jaisi thi aur sachmuch inhone mujrimo ke ek sangathit giroh ki tarah hi badi teji se kaam shuru kiya.
sabse pehle Beauty bani Aasha Kohinoor dekhne us museum me gayi jaha vah rakha tha aur yaha usse kuch aisi bhoolein ho gayi ki museum ke security ke jasoos uske peeche lag gaye. idhar Vijay, Vikas, Ashraf aur Vikram ki kaargujaariyo ki vajah se London ki police ke saath hi secret service vihbaag bhi chounk pada, mr. M ne office me bulakar Bond ko ye bhed bataya ki mr. Gardner K.S.S. ke cheif hai aur kuch log Kohinoor me dilchaspi lete dikhaayi de rahe hai. is parakaar is case me Bond sakriya ho utha.
udhar Alfaanse Irvin ke saath Gardner ki kothi me hi rehne laga tha.
Vijay, Vikas, Ashraf aur Vikram ne jab yah mehsoos kiya ki Aasha ko British jasoos watch kar rahe hai to unhone Aasha se saare sampark tod diye.
apni aapraadhik gatividhiya bina kisi rukavat ke chalaaye rakhne ke liye unhe kisi sthaan ki talaash thi.
Vijay aadi ne Peter house ko chuna. imarat ki back side me dusre maale par ek khidki thi, jishe unhone mukhya dwar banaya tha. ve raat ke andhere me aakar Peter house ka istemaal karte aur suraj nikalne se pehle hi nikal jaate.
investigation karte huve Vijay aadi ne Chemboor naamak ek aise aadmi ka pata laga liya jo K.S.S. ka sadasya hi nahi balki Gardner ka daaya haath tha. Chemboor ka vyaktitv rahasmaye tha kyonki Vikas ne ushe akele me Alfaanse se milte dekha tha. Vijay ne anumaan lagaya ki Chemboor Alfaanse se mila hua ho sakta hai.
Kohinoor ke chaaro taraf ki gayi kadi suraksha vyavastha aur Alfaanse ki poori yojna jaanne ke liye Chemboor par haath daalne ka nischay hua.
udhar, James bond ye to nahi jaan paaya tha ki jo log Kohinoor me dilchaspi le rahe hai ve Bhartiya jasoos hai. magar ye bhaanp gaya tha ki ve jo bhi hai, Chemboor par jaroor haath daalenge, atah Bond swayam Chemboor ki nigrani kar raha tha.
jab Vijay aadi ne Chemboor par haath daala to unka takraav Bond se ho gaya. Chemboor ko kidnap kar laane me ve safal to ho gaye, parantu is takraav ke baad vah ye jaan gaya ki ve Vijay aadi hai. atah usne ushi raat hotel ke ek kamre se Aasha ko giraftaar kar liya.
idhar Chemboor ko lekar ve Peter house pahuche, rahasya ugalvaane ke liye ushe torture kiya, Chemboor toot gaya. usne Kohinoor ke chaaro taraf ki gayi kadi suraksha vyavastha unhe bata di. Chemboor ke bataane par hi unhe pata laga ki museum me jo Kohinoor rakha najar aata hai, vah Kohinoor nahi, Kohinoor ka pritibimb maatra hai, asal Kohinoor kaha aur kin surakshaao ke beech rakha hua hai, yah sunkar to Vijay jaise vyakti ko bhi maanna pada ki Kohinoor ko churana to asambhav ki seema tak kathin hai.
unhone Chemboor se Alfaanse ki Kohinoor tak pahuchne ki yojna poochi, yojna Chemboor ne bataayi bhi kintu Vijay ke khayaal se ye yojna shashakt nahi thi, suraksha vyavastha ko dekhte huve usme kayi khaamiya thi.
sabkuch ugalvaane ke baad unhone Chemboor ko maar daala.
udhar, Bond Aasha se yah ugalvaane ke liye ki vah Aasha hai, ushe buri tarah torture kar raha tha. vah sabkuch sehti rahi magar ek baar bhi usne Aasha hona sweekaar nahi kiya. atah Bond ne apni ek jasoos ko Beauty banakar hotel ke us kamre me rakh chhoda jaha se vah Beauty ke roop me reh rahi Aasha ko giraftaar karke laaya tha.
Peter house me maujood Vijay aadi se achanak hi kisi rahasymayi aadmi ne phone par sambandh sthaapit kiya aur kaha ki vah unke ek-ek rahasya se vaakif hai. apni baato se usne saabit kar diya ki vah sach bol raha hai, vah unke asli naam bhi jaanta tha aur yah bhi ki unhone Chemboor ko maar daala hai. apna parichay gupt rakhte huve usne Kohinoor ki loot me se hisse ki maang ki.
sochne ke liye samay dekar usne sambandh-vichhed kar diya.
Vijay aadi ki haalat ajeeb ho gayi, unhe samajh nahi aa raha tha ki vah aadmi aakhir koun ho sakta hai. Chemboor ki laash ko aane vaali raat ke andhere me thikaane lagaane ka nischay karke ve saavdhaani ke saath khidki roopi apne mukhya dwar se nikal gaye.
raat ke is waqt Irvin ke paas bed par soya Alfaanse utha, choro ki tarah kamre se baahar nikla , uska khayaal tha ki aisa karte waqt ushe Irvin ne nahi dekha hai. kintu uska aisa sochna bilkul galat tha, darasal Irvin ne uski prateyek harkat note ki thi. prateyek raat ki tarah is raat bhi Vijay aadi Peter house me ikhatte huve. yojna ke mutaabik ab ve Aasha ko bhi yaha le aaye the magar bechaare ye nahi jaante the ki ab Beauty ke makeup me vah Aasha nahi balki Bond ki jasoos hai.
us waqt ve hakke-bakke reh gaye jab unhone Chemboor ki laash ko us kamre se gaayab paaya, jaha unhone ushe rakha tha. tabhi phone par rahasmayi vyakti ne kaha ki laash usne kisi aise sthaan par chupa rakhi hai, jaha se ushe laakh talaash karne ke baad bhi vah nahi milegi. laash ka pata vo unhe tabhi batayenga jab ve ushe hissa dena kabool karenge, Vijay ne kaha ki vah saamne aakar souda kare.
usne agli raat ko Peter house aane ka vaada kar diya.
abhi yah log rahasmayi vyakti ki baat kar rahe the ki Alfaanse vaha pahuch gaya, Alfaanse ko yaha dekhkar un sabka chounk padna swabhaavik hi tha, usne Vijay se kaha ki vah Kohinoor ke chakkar me nahi hai, balki sach me Irvin ke saath apna ghar basakar apna shesh jeevan shaanti se gujaarna chahta hai. yahi usne ye bhi kaha ki Irvin uske bacche ki maa banne vaali hai. Alfaanse ne unse prarthana ki ki ve log London se chale jaaye varna Irvin bhi uske baare me vahi sochne lagegi, jo ve soch rahe hai. Vijay aadi ke na maanne par vah ye dhamki dekar chala gaya ki yadi unki vajah se uski family life bigdi to vah ek-ek se gin-ginkar badle lega.
raat ke us waqt bhi Bond Aasha ko torture kar raha tha jab Beauty bani uski jasoos ne tramsmitter par soochna di ki Vijay, Vikas, Ashraf aur Vikram is waqt Peter house me maujood hai. Peter house ko ishi waqt gherkar inhe giraftaar kar lena uchit hai. Bond ne o.k. kehkar transmitter off kiya aur tej kadmo ke saath torture room se baahar nikal gaya.
bas, Alfaanse ki shaadi me aapne ishi drishya tak ka kathanak padha tha, isse aage ka kathanak lekar aaya hai," Kafan Tere Bete Ka "

No comments:

Post a Comment