purichudai.blogspot.in

Saturday, November 08, 2014

kafan tere bete ka 2



British secret service ke gupt office me baitha James bond secret service ke cheif mr. M se atyadhik utsaahit swar me keh raha tha," maine Kohinoor me

dilchaspi lene vaalo ka pata laga liya hai sir "
" very good " M ka chehra chamak utha," koun hai ve log "
" ve ushi desh ke jasoos hai sir, jis desh se hamare bujurg Kohinoor yaha laaye the "
" y..yaani Bhartiya " mr. M ucchal pade.
" ji haan " Bond ne garveeli muskaan ke saath kaha," ve Bhartiya jasoos hi hai, Vijay, Vikas, Ashraf, Vikram aur Aasha, ye sab makeup me naam badalkar London me sakriya hai, Beauty naamak jis ladki ka havaala aapne mujhe diya tha, darasal vo Beauty nahi balki Bhartiya secret service ki jasoos Aasha hai "
" oh god "
" is waqt Aasha meri kaid me hai aur baaki chaaro ko bhi aap meri giraft me hi samjhe "
" kya matlab "
" mai aapke paas ye gujaarish lekar aaya hu ki ishi waqt aadesh jaari karke Smith Street par stith Peter house naamak imarat ko shashastra sainiko se

ghirvakar unhe giraftaar karva lijiye "
" kya ve charo ishi imarat me hai "
" yes sir, unke saath Beauty bani hamari ek jasoos hai "
" hum samajh nahi paa rahe hai Bond ki aakhir tum keh kya rahe ho, sabse pehle sanshep me tum hame apni poori report do, hamari koun si jasoos Beauty

bankar kaise pahuch gayi "
James bond ne ek kshan bhi ganvaana uchit nahi samjha aur shuru ho gaya. mr. M uske munh se nikalne vaale ek-ek shabd ko bahut dhyaan se sunte rahe.

--------------------------------------

" ab tumhaara kya iraada hai " saari report lene ke baad mr. M ne poocha.
" ek kshan bhi ganvaaye bina hame unhe gher lena chahiye "
kuch sochte huve mr. M ne kaha," hamare khayaal se aisa karne se koyi laabh nahi hoga "
" kya matlab "
" bahut mushkil se hamare haath aisa mouka laga hai, jab Sanyukt Rashtra Sangh me hum Bhaarat ko neecha dikha sakte hai, ye saabit karke ki ve Bhartiya

jasoos hai aur London me Kohinoor ko churaane ke liye hi sakriya the, kintu filhaal na to hamare paas unke Bhartiya jasoos hone ka koyi saboot hai aur na hi ye saabit karne ka koyi saboot hai ki ve Kohinoor ke chakkar me the. aise haalaat me unhe giraftaar karna nirarthak hoga "
" keh to aap theek rahe hai, lekin... "
" lekin kya "
" iske liye hum kar kya sakte hai "
" is waqt ve tumhaari najro me to hai hi, agent 003 bhi unke saath hai aur ve ushe Aasha hi samajh rahe hai, yaani jaahir hai ki uske jariye tumhe unki har

yojna, har activity ki poorn jaankaari rahegi, gherkar unhe kisi bhi kshan, kahi bhi giraftaar kiya jaa sakta hai. to kyo na un par us waqt haath daala jaaye,

jab na keval unhe Bhartiya jasoos saabit kiya jaa sake, balki ye bhi saabit kiya jaa sake ki ve Kohinoor ke chakkar me the "
" raay to aapki theek hai magar isme khatra bahut hai "
" kis kism ka khatra "
" ve charo ek se badhkar ek kaaiya hai, ve filhaal to nahi jaante ki Beauty Aasha nahi hai, lekin 003 ki halki si chook par jaan sakte hai aur yadi aisa ho gaya

to na keval 003 ki buri gat banayenge, balki satark bhi ho jaayenge, us avastha me na keval unki yojnaaye aur activities hi jaanna asambhav hoga, balki

unhe pakadna bhi "
M ne bade ajeeb se swar me kaha," is kism ke khatre uthaane se hamara Bond kab se katraane laga "
" mai katra nahi raha hu sir, keval haalaat par gour kar raha hu, soch raha hu ki is waqt haalaat hamari giraft me hai, kal stithi badal bhi sakti hai "
" tumhaare khayaal se stithi badalne par kya ho sakta hai "
" ye bhi mumkin hai ki ve Kohinoor ko churaane me kaamyaab ho jaaye "
mr. M ke chehre par aisi muskaan ubhar aayi jaise Bond ne koyi bachkaani baat keh di ho, bole," is taraf se tum bilkul nischint raho Bond, hum shart lagakar

keh sakte hai ki ve to ve, swayam god bhi Kohinoor ko churaane me kaamyaab nahi ho sakta "
" aisa daava aap kis aadhaar par kar rahe hai "
" Kohinoor ke chaaro taraf faili suraksha vyavasthaao ke aadhaar par "
" ve bahut shaitaan hai sir, dimaagi star par Vijay se bada shaitaan is saari duniya me nahi hai aur physically duniya ka sabse bada shaitaan Vikas hai. jab ve kaam karne par aamada honge to Kohinoor ke chaaro taraf ki gayi vyavasthaaye toot-tootkar bikhar jaayengi "
" aisa tum keval isliye keh rahe ho, kyonki tum un vyavsathaao ke baare me kuch nahi jaante ho "
" kya aap mujhe bata sakte hai "
" tumhaari tassalli ke liye batani hi hongi " kehne ke baad mr. M tape-recorder ke tarah shuru ho gaye. Bond dhyaan se sunta raha, beech-beech me usne

prashan bhi kiye, jinka uttar dete huve M ne ushe poorn suraksha vyavastha ke baare me bata diya.
sunkar Bond ko ascharya hua aur yah vishvaas bhi ki Kohinoor tak pahuchna Vijay-Vikas ke liye laghbhag asambhav sa hi hai, Bond kaafi aashvasht najar aane laga.
M ne poocha," ab kaho Bond kya khayaal hai "
" vaakayi, suraksha ke bahut kade prabandh kiye gaye hai "
" ab tum apni aage ki scheme batao "
" aap theek keh rahe hai, is waqt unhe giraftaar kar lena aasaan jaroor hai lekin laabhprad nahi. unhe tabhi giraftaar kiya jaana uchit hoga jab hum unhe Bhartiya jasoos hone ke saath-saath yah bhi saabit kar sake ki ve Kohinoor ke chakkar me hai, parantu.... "
" parantu kya "
" mai transmitter par 003 se keh chuka hu ki unhe giraftaar karne ke liye tatkaal Peter house ko ghera jaa raha hai aur ab yadi aisa nahi kiya gaya to vah uljhan me pad jaayegi "
" transmitter par ushe nayi yojna se avgat karaya jaa sakta hai "
" vahi karna hoga aur unhe Bhartiya jasoos saabit karne ke liye bhi kayi prabandh karne honge, shatranj ke is khel me hame maat bhi mil sakti hai sir, isliye hame apne baadshah ke chaaro taraf ek sudridh kila bana lena chahiye "
" kya matlab "
" waqt aane par Aasha hamare liye vajeer saabit ho sakti hai, isliye ushe kisi aise sthaan par rakhna chahiye, jaha ve kabhi na pahuch sake "
" is waqt Aasha kaha hai "
" meri kothi ke torture room me "
" ushe fouran yaha yaani secret service ke kaidkhaane me daal do. saat janam tak koshish karne ke baad bhi unme se koyi yaha nahi pahuch sakega "
" yahi theek rahega, mai abhi 003 ko nayi yojna se avgat karata hu " kehne ke turant baad Bond angoothi roopi transmitter par 003 se sambandh sthaapit karne ki chesta karne laga.

--------------------------------

Irvin itni teji se uthi, jaise ki vah haad-maans ki nahi, bijli se harkat me aane vaali plastic ki gudiya ho, uski jheel si gehri, chamakdaar aur khoobsurat neeli aankho me ajeeb chamak thi.
handle pakadkar usne darvaaje ko apni taraf kheenchna chaha.
darvaaja baahar se bolt tha, atah nahi khula.
ab vah pinjre me fansi khoobsurat hirni ki tarah saare kamre ko dekhne lagi, bedroom me ab bhi night bulb ka prakash bikhra hua tha, Irvin ke sudoul aur gadraaye jism par is waqt jheena gown tha. pusht vaksho ko kaid kiye brazzer spasht chamak rahi thi, kintu uska dhyaan apni shaaririk avastha ki taraf bilkul nahi tha, is waqt vah sirf aur sirf is kamre se baahar nikalne ke liye bechain najar aa rahi thi.
is kamre se, jisme kuch hi der pehle Alfaanse ek tarah se ushe kaid kar gaya tha. kadachit vah ye jaanna chahti thi ki raat ke is waqt ushe soti samajhkar choro ki tarah aakhir Alfaanse kaha gaya hai aur jaate waqt kamre ka darvaaja baahar se kyo band kar gaya hai.
achanak us hirni ki badi-badi aankhe ek khidki par atak gayi, bandook se nikli goli ki tarah vah uski taraf lapki. agle hi pal usne na sirf chitkhani khol di balki dabe paanv bina koyi aahat utpann kiye choro ki tarah khidki paar karke kamre ke baahar se gujarne vaali gallery me pahuch gayi.
gallery me madhim prakash tha.
Irvin poori saavdhaani ke saath gallery paar karne lagi, mod ghoomne ke baad vah ek kamre ke band darvaaje ke sameep thithak gayi.
yah kamra Irvin ke pita Gardner ka tha.
yaani vahi kamra jaha se is kothi ke tahkhaane me chupe control room tak jaane ka gupt raasta shuru hota hai, Irvin ne kisi chaalaak billi ki tarah daaye-baaye dekha.
dono taraf ki gallery sannate me doobi padi thi.
dabe paanv vah band darvaaje ke atyant sameep pahuchi aur fir usne apni saans tak rok li aur aankh key-hole se sata di.
kamre me laal rang ke night bulb ka prakash bikhra pada tha.
saamne hi double bed tha aur us par gehri neend me leen mr. Gardner spasht najar aa rahe the. unke sirhaane steel ki ek majboot safe kamre ke farsh me gadi thi.
bas, kamre ka itna hi drishya Irvin ko chamka.
kuch der tak vah saans roke key-hole se aankh sataye rahi, parantu Alfaanse najar nahi aaya aur na hi aisa koyi aabhaas mila jo kamre me Alfaanse ki maujoodgi ka prateek ho.
ab saans roke rehna Irvin ke liye kathin ho gaya tha.
atah vah sheeghrata se darvaaje ke sameep se hati, dabe paanv do-teen kadam door hatkar usne ruki huyi saans chhodi.
is waqt uske chehre par ajeeb se bhaav the.
baaye haath ko usne ghoonse ki shakal di aur bahut jor se apni daayi hatheli par maarkar badbadaayi," aakhir kaha chala gaya "
parantu kaafi der tak bhi ushe apne is sawaal ka jawaab nahi mila.
aakhir niraash Irvin apne kamre ki taraf lout gayi, khidki ke jariye kamre ke andar pahuchi aur khidki ko poorv ki tarah andar se bolt kar liya.
thaki aur chakit si vah bed par let gayi.
takiye par sir rakhkar kamre ki chatt ko ghoorti huyi na jaane kayi der tak vo kya sochti rahi, aankho me door-door tak neend ka koyi naam-o-nishaan nahi tha.
us waqt achanak hi Irvin ki tandra bhang huyi jab usne gallery me se ubharne vaali halki si padchap suni, koyi dabe paanv gallery me chal raha tha.
fir, padchap uske kamre ke darvaaje ke kareeb ruk gayi.
kis ne bahut hi dheeme se darvaaje ke dusri taraf laga bolt sarkaaya aur ishi kshan na jaane Irvin ko kya soojha ki usne ekdum se aankhe band kar li. aisa pose bana liya jaise sadiyo se so rahi ho.
uska dil asamanya gati se dhadak raha tha aur palko ki jhiri se vah nirantar darvaaje ki taraf dekh rahi thi. darvaaja bahut hi aahista se khula.
Irvin ne dekha ki darvaaja kholne vaala Alfaanse tha.
choukhat par khada vah saans roke bed par soyi huyi si najar aane vaali Irvin ko ek minute tak dekhta raha.
leshmaatra bhi aahat utpann kiye bina alfaanse ne darvaaja andar se band kiya aur jaate waqt jis saavdhaani se kapde pehne the, ushi saavdhaani se utaare, taange aur dabe paanv aakar aahista se bed par let gaya.
uske mastak par paseene ki nanhi-nanhi boonde ubhar aayi thi.
sachmuch sone ke liye usne aankhe band kar li thi, parantu vah ye nahi jaanta tha ki palko ki jhiri se ushe ab tak dekh rahi Irvin ki aankho me door-door tak neend nahi hai.
Irvin ne yah jaahir nahi kiya ki usne Alfaanse ki ek-ek harkat dekhi hai.

No comments:

Post a Comment